This is “Heart Touching Shayari Volume 1” from the crew at ouhind.com’s shayari section. We’ll continue to release shayari in various volumes at regular intervals for the enjoyment of our users. Let’s begin the shayari now…
Tajurba behisab mila zeendgi ka tujhse hame, Kaun kahta hai ishq me kuchh hasil nhi hota
Unpe haqq tha hamara par ham jata na paye,
Jataate bhi kaise,
Unse mohabbat thi hame,
Aur ham to ye bhi bata na paaye
Adat hai hame ummeed lagane ki, Hai tamannah bhi isse chhut jaane ki, Jaha bachpana kahta hai jidd pe aane ki, Wahi maturity kahti hai, Chal chhor yahi to hota aya hai, Aur fir adat hai aage badh jaane ki..
Nikle the safar me to ek shaam aya, Likhi kisi kahani ka anjaam aya, Aur hamne dekhe hai har mausam bare karib se, Hisab karne baithe to patjhar hi hamare naam aya
Kabhi to meri khamoshi ki awaj soon, Shor to har koi sun leta hai, Ki tu mere safar tak mera saath de de, Warna manjil to har koi chun leta hai
Wo karte hai kayi bahaane,
Jo jara sa agar waqt maang lete hai,
Aur ham unke marji ke intjaar me bhi,
Saari raat jag lete hai
Kya kahe ki is dil me kayi khwab chhipaye baithe hain,
Aur aap puchhta hain haal-e-zeendgi,
Ham to khud ko dafnaaye baithe hai
Zeendgi ke har mausam me saamil tu hai,
Kya kahe ki hare k pal me saamil tu hai,
Koi aisa waqt nhi jab tera khayal na aata ho,
Mere to har ek dhadkan me saamil tu hai
Yun waqt-Bewaqt tere yaadon ke saaye tale, Na jane kyun is dil me aaj bhi ek ummeed si pale, Aur sayad unhe hamaara ab naam bhi yaad na ho, Magar ek ham hai jiski har sham unke intjaar me dhale
Sayari is inpired from Mirza Ghalib. Click here and read top 10 shayari of Mirza Ghalib and do share this article on social media. Comment for any suggestion or To write in www.ourhind.com Shayari Section.
Very nice and heart touching shayri